Kaise 10000rs ban gaye 4 crore sirf 18 mahino me
Elcide Investment
Ltd:- 10000rs kaa investment 18
mahino me hua 4crore kaa.
Script:- Elcide Investment ltd
Bse Code:- 503681
LTP:- 2.73
Delisting proposal price:-11455 rs
Warren buffet ji ne
kaha tha ki mai share isliye nahi buy karata ki mujhe profit ho mai mere paise
aisi company me invest karata hu jo kal band ho jaye aur 5 saal baad bhi khule
to mujhe koi fark nahi padta .
Upar kahi huyi warren
buffet ji ki baat yaha par sahi saabit hoti hai,hum eak aise counter ke bare me
baat kar rahe hai jise hum nahi jaanate but agar aapne Elcide Investment me 2
saal pahale 10000 kaa investment kiya hota to aap ke pass 4 crore 20 lakh hote.company
kaa last trded price tha 2.73 11 september
2011 ko aur unhone haal hi me voluntary delisting price offer ki hai 11455rs
per share ye jo valuation company kaa aaya hai ise audit kiya hai SSPA &
Co, Chartered accountant.2011-2012 ke financial year me company ko 10.26 crore
kaa profit tha and revenue 10.64 crore ki thi is company ki per share earning
FY12 me 512.80 thi. Aur kariban 80% kaa equity capital is company ke promoters
ke pass hai and 229 aise log hai jinake pass company ki 20% shareholding hai
aur jinaki lottery lag chuki hai.
Yah bahut mushkil hai
ki hum Elcide Investment jaisi company dhund le provided aap kuch basic stuff
ke bare me jaan le aap ko jyada khusi humesha
longer period ke investment me hi hogi. Jab bahut saari compniya loss
kar rahi hoti hai to investor unki current situation se unke future kaa andaja
lagta hai aur door bhagta hai aise compniyo se mushikal ye hai ki log sirf
price ko dekhte hai naa ki company ke valuation ko Elcide investment bhi eak aisi company thi
jise hum agar eak baar dekhe to hume kuch khas nazar nahi aata but jab hum iski
intrinsic value and holding pattern ko dekhte hai to ye stock bahut bada nazar
aata hai isase aapko is baat kaa andaza ho jaata hai ki agar kuch companiya
haal filhaal profit nahi kar rahi hai but ye next success story ho sakti hai.
Lekin baat aisi hai ki
aapko patience rakhna hoga aisi copnaiya aapko bahut lambe samay ke liye
paresaan kar sakti hai apane under performance ki wajah se but agar aap long
term ki hisab se soche aur thoda research kare to ye aapko bahut wealthier bhi
bana sakti hai…….. Written by Suraj
Tiwari
No comments:
Post a Comment